tu agar bevafa nahin hoti
ye qayamat bapa nahin hoti
maut us ko shikast deti hai
zindagi bevafa nahin hoti
kaash main bhi na ruThta us se
kaash vo bhi ḳhafa nahin hoti
main agar sach ko jhuuT kah deta
mujh ko hargiz saza nahin hoti
us ki zulfon ki yaad aati hai
jab falak par ghaTa nahin hoti
vahshaten aur baḌhti jaati hain
chaak jab tak qaba nahin hoti
kab se suraj jaga raha hai mujhe
chashm-e-ḳhvabida va nahin hoti
charagar kyon fareb dete hain
dard-e-dil ki dava nahin hoti
jo davaon se kaam chalta ‘suhaib’
to yaqinan dua nahin hoti
Leave a Reply