dil mira jab tak kisi ke husn par maa.il na tha
zindagi men zindagi ka lutf kuchh hasil na tha
mere hisse ka koi saghar sar-e-mahfil na tha
tere mai-noshon men saaqi kya main is qabil na tha
jan-ba-lab mahfil men un ki main na tha ya dil na tha
kaun tha jo un ke tir-e-naz ka gha.il na tha
ik nazar milte hi un ka ho gaya kya qahr hai
jis ko ham samajhte the apna dil vo apna dil na tha
bahr-e-ulfat ki talatum-ḳhez tughyani na puchh
har taraf tufan hi tufan hai sahil na tha
na-umidi dard-o-gham ranj-o-musibat ke siva
chahne valon ko un ke aur kuchh hasil na tha
ik ishare par bahaya ḳhuun paani ki tarah
un ke jan-bazon men koi mujh sa dariya-dil na tha
sahl kar di zindagi un ki umid-e-did ne
varna un ke hijr men marna koi mushkil na tha
aah ‘sabir’ jab hua mera safina gharq-e-ab
main tha majburi thi aur koi lab-e-sahil na tha
Leave a Reply