har nayā moḌ hai jaada mirī manzil to nahīñ
jo tamannā hai mire dil meñ vo hāsil to nahīñ
kis liye aap ko andesha-e-rusvā.ī hai
darmiyāñ aap ke mere koī haa.il to nahīñ
merī barbādī kā ehsās tujhe kaise huā
tere pahlū meñ mirā TuuTā huā dil to nahīñ
kis liye aap ko ye shauq-e-ḳhud-ārā.ī hai
aa.ina sāmne hai koī muqābil to nahīñ
aap kyoñ itne pareshān nazar aate haiñ
apnī mahfil hai kisī aur kī mahfil to nahīñ
ye vahī kahte haiñ mālūm nahīñ jin ko ‘razā’
ishq karnā bahut āsān hai mushkil to nahīñ