bahut se logon ko gham ne jila ke maar diya
jo bach rahe the unhen mai pila ke maar diya
ye kya ada hai ki jab un ki barhami se ham
na mar sake to hamen muskura ke maar diya
na jaate aap to aghosh kyuun tahi hoti
gae to aap ne pahlu se ja ke maar diya
mujhe gila to nahin aap ke taghaful se
magar huzur ne himmat badha ke maar diya
na aap aas bandhate na ye sitam hota
hamen to aap ne amrit pila ke maar diya
kisi ne husn-e-taghaful se jaan talab kar li
kisi ne lutf ke dariya baha ke maar diya
jise bhi main ne ziyada tapak se dekha
usi hasin ne patthar utha ke maar diya
vo log mangenge ab ziist kis ke anchal se?
jinhen huzur ne daman chhuda ke maar diya
chale to khanda-mizaji se ja rahe the ham
kisi hasin ne raste men aa ke maar diya
rah-e-hayat men kuchh aise pech-o-kham to na the
kisi hasin ne raste men aa ke maar diya
karam ki surat-e-avval to jan-gudaz na thi
karam ka dusra pahlu dikha ke maar diya
ajiib ras-bhara rahzan tha jis ne logon ko
tarah tarah ki adaen dikha ke maar diya
ajiib khulq se ik ajnabi musafir ne
hamen khilaf-e-tavaqqoa bula ke maar diya
‘adam’ bade adab-adab se hasinon ne
hamen sitam ka nishana bana ke maar diya
taayyunat ki had tak to ji raha tha ‘adam’
taayyunat ke parde utha ke maar diya
Leave a Reply