• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Shairi Sach Bolti Hai

Shairi Sach Bolti Hai

qateel-shifai

laakh pardon men rahun bhed mire kholti hai

shairi sach bolti hai

main ne dekha hai ki jab miri zaban dolti hai

shairi sach bolti hai

tera israr ki chahat miri betab na ho

vaqif is gham se mira halqa-e-ahbab na ho

to mujhe zabt ke sahraon men kyuun rolti hai

shairi sach bolti hai

ye bhi kya baat ki chhup chhup ke tujhe pyaar karun

gar koi puchh hi baithe to main inkar karun

jab kisi baat ko duniya ki nazar taulti hai

shairi sach bolti hai

main ne is fikr men katen kai raten kai din

mire sheron men tira naam na aae lekin

jab tiri saans miri saans men ras gholti hai

shairi sach bolti hai

tere jalvon ka hai par tiri miri ek ek ghazal

to mire jism ka saaya hai to katra ke na chal

parda-dari to khud apna hi bharam kholti hai

shairi sach bolti hai

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ahl-E-Dil Milte Nahin Ahl-E-Nazar Milte Nahin

Hudud-E-Zat Mein Auron Ka Zikr Hi Kya Hai

Murattab Aur Bhi Ek Goshwara Ho Raha Hai

poet

Wada Gar Rose Kiye Jaiyega

Puchh Mat Kitni Pareshani Hua Karti Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet