• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mah-Jabinon Ki Adaon Se Ulajh baiTha Hun

Mah-Jabinon Ki Adaon Se Ulajh baiTha Hun

mah-jabinon ki adaon se ulajh baiTha huun

is ka matlab hai balaon se ulajh baiTha huun

bab-e-tasir se nakam palaT aa.i hai

is liye apni duaon se ulajh baiTha huun

teri dahliz pe jhukne ka saval aaya tha

main zamane ki anaon se ulajh baiTha huun

jo musafir ke liye ba.is-e-taskin nahin

aise ashjar ki chhanv se ulajh baiTha huun

jo gharibon ka diya phunk ke tham jaati hai

aisi kam-zarf havaon se ulajh baiTha huun

ab tiri god ke palon men bhi ehsas nahin

bas yahi soch ke gaanv se ulajh baiTha huun

arsh vaale miri tauqir salamat rakhna

farsh ke saare ḳhudaon se ulajh baiTha huun

apne qatil se ulajhne ka irada kar ke

log kahte hain ḳhalaon se ulajh baiTha huun

ek kam-zarf ki be-rabt jafa ki ḳhatir

shahr-valon ki vafaon se ulajh baiTha huun

teri dastar se ‘kazim’ main ulajh na paata

bas yahi soch ke paanv se ulajh baiTha huun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Dur Hai Ba-Huzur Lagta Hai

poet

Humne Ehsan Asiri Ka Na Barbaad Kiya

Der Se so Kar uThne Walo taDpo Lekin Shor Na Ho

Tumhaare Wasl Ko Wadon Mein Rakh Diya Maine

poet

Dil Ka Har Ek Dagh Charaghan Se Kam Nahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet