rifat kabhi kisi ki gavara yahan nahin
jis sar-zamin ke ham hain vahan asman nahin
do roz ek vaza pe rang-e-jahan nahin
vo kaun sa chaman hai ki jis ko khizan nahin
ibrat ki ja hai lakhon hi tifl o javan nahin
piiri men bhi khayal ajal ka yahan nahin
dushman agar vo dost hua hai to kya ajab
yaan e’timad-e-dosti-e-jism-o-jan nahin
raftar naaz men ye lachak jaati hai ki bas
goya tiri kamar men sanam ustukhan nahin
munim ke shukr men bhi hilaen kabhi kabhi
tanha barae-lazzat-e-duniya zaban nahin
pazhmurda ek hai to shagufta hai dusra
bagh-e-jahan men fasl-e-bahar-o-khizan nahin
jin ke suron par aap magas-raan rahe huma
un ka lahad men aaj koi ustukhan nahin
dhoka na kha zuruf-e-vazu ko tu dekh kar
masjid hai mai-farosh ki ‘nasikh’ dukan nahin
Leave a Reply