• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Samne Ek Be-Rahm Haqiqat Nangi Ho Kar Nachti Hai

Samne Ek Be-Rahm Haqiqat Nangi Ho Kar Nachti Hai

shabnam-shakeel

samne ik be-rahm haqiqat nangi ho kar nachti hai

us ki ankhon se ab meri maut ki khvahish jhankti hai

jism ka jaadu is duniya men sar chadh kar jab bolta hai

ruuh miri sharminda ho kar apna chehra dhanpti hai

us ki jholi men sab khote sikke daale jaenge

janti hai ye andhi bhikaran phir bhi din bhar mangti hai

mera khuun piya to us ko taaza lahu ki chaat lagi

ab vo nagin apni zaban se apna lahu bhi chatti hai

ab ki baar ai buzdil qismat khul kar mere samne aa

kyuun ik dhachka roz laga kar baaqi kal par talti hai

maazi ki turbat se nikal aati hai kisi ki yaad ki laash

meri soch miri dushman hai roz musibat dalti hai

sahra ka badal do bunden barsa kar ud jaata hai

pyasi banjar banjh zamin kuchh aur ziyada hanpti hai

ab tak soi hui thi vo asaish ke gahvare men

angdai si le kar ‘shabnam’ aaj ana kyuun jagti hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Hum Hain Ai Yar Chadhae Hue Paimana-E-Ishq

KHwab Le Kar Kahan Nikal Aae

poet

Aashiq Hue Hain Jab Se Hum Khud Se Ja Rahe Hain

Pichhe muD Ke Dekhna Achchha Laga

siraj-aurangabadi

Ishq Ne Khun Kiya Hai dil Jis Ka

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet