abas hai naz-e-istighna pe kal ki kya ḳhabar kya ho
ḳhuda ma.alum ye saman kya ho jaa.e sar kya ho
ye ah-e-be-asar kya ho ye naḳhl-e-be-samar kya ho
na ho jab dard hi ya-rab to dil kya ho jigar kya ho
jahan insan kho jaata ho ḳhud phir us ki mahfil men
rasa.i kis tarah ho daḳhl kyunkar ho guzar kya ho
na puchhunga main ye bhi jaam men hai zahr ya amrit
tumhare haath se andesha-e-naf-o-zarar kya ho
muravvat se ho begana vafa se duur ho koson
ye sach hai naznin ho ḳhubsurat ho magar kya ho
shagufe dekh kar muTThi men zar ko muskurate hain
ki jab umr is qadar kotah rakhte hain to zar kya ho
raha karti hai ye hairat mujhe zuhd-e-riya.i par
ḳhuda se jo nahin Darta use bande ka Dar kya ho
kaha main ne ki ‘nazm’-e-mubtala marta hai hasrat men
kaha us ne agar mar jaa.e to mera zarar kya ho
kaha main ne ki hai soz-e-jigar aur uff nahin karta
kaha is ki ijazat hi nahin phir nauhagar kya ho
kaha main ne ki de us ko ijazat aah karne ki
kaha us ne bhaḌak uTThe agar soz-e-jigar kya ho
kaha main ne ki aansu aankh ka lekin nahin thamta
kaha ankhen koi talvon se mal Daale agar kya ho
kaha main ne qadam bhar par hai vo surat dikha aao
kaha munh pher kar itna kisi ko dard-e-sar kya ho
kaha main ne asar mutlaq nahin kya sang-dil hai tu
kaha jab dil ho patthar ka to patthar par asar kya ho
kaha main ne jo mar jaa.e to kya ho soch tu dil men
kaha na-aqibat-andesh ne kuchh soch kar kya ho
kaha main ne ḳhabar bhi hai ki di jaan us ne ghuT ghaT kar
kaha mar jaa.e chupke se to phir mujh ko ḳhabar kya ho
Leave a Reply