shab ki zulfen sanvarta hua main
ye tire saath jagta hua main
rishta-e-jan se kaT gaya yaksar
kuchh ta.alluq nibahta hua main
vo sar-e-bazm jhumta hua tu
ye sar-e-rah karahta hua main
vo sar-e-shaḳh tu mahakta hua
aur sar-e-ḳhak sukhta hua main
gir gaya thak ke apne qadmon men
tujh se tujh ko hi mangta hua main
aks-dar-aks phailta hua tu
ḳhvab-dar-ḳhvab bhagta hua main
tere sarsabz mausamon se juda
dasht ki ḳhaak phankta hua main
apne taaza vajud men gum huun
tujhe naslon se khojta hua main
mujhe qarnon men sochta hua tu
tujhe sadiyon men DhunDhta hua main
ye mira dard bhulta hua tu
ye tiri ḳhair mangta hua main
adl ki maslahat ka a.ina
ye sar-e-dar jhulta hua main
Leave a Reply