• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / dil Se Samjhunga Ise dushman-E-Jaan Hone do

dil Se Samjhunga Ise dushman-E-Jaan Hone do

poet

dil se samjhunga ise dushman-e-jan hone do

zahr gholunga dava men khafaqan hone do

aankh bhaun us ke isharon pe ravan hone do

mil ke abru-o-mizha tir-o-kaman hone do

mere dil ko hadaf-e-tir-e-nigah karte hain

aur mujh se bhi ishara hai ki haan hone do

aag bhadki hui hai mujh ko na samjhae koi

jaan ka maal ka hota hai ziyan hone do

har tarah ham dil-e-na-fahm ko samjha lenge

daagh maujud hain pahlu ko khizan hone do

ism-e-azam ka asar ghair ko dikhla denge

yaar ka naam zara vird-e-zaban hone do

ankhen phuten bhi kahin is falak-e-bad-bin ki

zabt achchha nahin aahon ka dhuan hone do

parda daalo miri ankhon pe na ai sharm-o-hijab

yaar be-parda hai mujh ko nigaran hone do

raat baaqi hai abhi kis liye ghabra ke uthe

top chhutne do miri jaan azaan hone do

lucknow men tumhen dikhlaenge chauka bahte

chaar aansu miri ankhon se ravan hone do

dekhun kyuun kar nahin hota falak-e-kaj sidha

dil-e-mahzun ki buland ah-o-fughan hone do

ahl-e-duniya men moassir hai har ek shai ka rivaj

mast ho jaenge sab daur-e-mughan hone do

naujavani ka maza koi kharabat men hai

mardum-e-pir ko mushtaq-e-jinan hone do

azmaish ke nazar hi jo hamare janib

paar siine se nigahon ki sinan hone do

‘bahr’ ne ab to kamar bandhi hi bad-vazai par

ab na roko ise rusva-e-jahan hone do

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Main Apne Suraj Ke Sath Zinda Rahunga to Ye KHabar Milegi

Dosh Par Bar-E-Gham uThae Hue

Na Ibtida-E-Junun Hai Na Intiha-E-Junun

Meri Tarikiyon Se Bhagta Main

Talab Se Bhi Kuchh Aur Ziyaada Mila

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet