agar ankhiyon siin ankhiyon ko milaoge to kya hoga
nazar kar lutf ki ham kuun jalao.ge to kya hoga
tumhare lab ki surkhi laal ki manind asli hai
agar tum paan ai pyare na khaoge to kya hoga
mohabbat siin kahta huun taur bad-nami ka behtar nahin
agar khandon ki sohbat men na jaoge to kya hoga
tumhare shauq men huun jan-ba-lab ik umr guzri hai
agar ik dam kuun aa kar mukh dikhaoge to kya hoga
mira dil mil raha hai tum suun pyare batini milna
agar ham paas zahir men na aaoge to kya hoga
jagat ke log saare ‘abru’ kuun pyaar karte hain
agar tum bhi gale is kuun lagaoge to kya hoga
Leave a Reply