• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hai Aaj Andhera Har Jaanib Aur Nur Ki Baaten Karte Hain

Hai Aaj Andhera Har Jaanib Aur Nur Ki Baaten Karte Hain

hai aaj andhera har janib aur nuur ki baten karte hain

nazdik ki baton se ḳha.if ham duur ki baten karte hain

ta.amir-o-taraqqi vaale hain kahiye bhi to un ko kya kahiye

jo shish-mahal men baiThe hue mazdur ki baten karte hain

ye log vahi hain jo kal tak tanzim-e-chaman ke dushman the

ab aaj hamare munh par ye dastur ki baten karte hain

ik bhaa.i ko duuje bhaa.i se laḌne ka jo dete hain paigham

vo log na jaane phir kaise jamhur ki baten karte hain

ik ḳhvab ki vaadi hai jis men rahte hain hamesha kho.e hue

dharti pe nahin hain jin ke qadam vo tuur ki baten karte hain

ham ko ye gila mahbub unhen afsana-e-bazm-e-aish-o-tarab

shikva ye unhen ham un se dil-e-ranjur ki baten karte hain

kya ḳhuub ada hai un ki ‘obaid’ andaz-e-karam hai kitna hasin

majbur ke haq se na-vaqif majbur ki baten karte hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sahil Pe Lai Aur Safine Dubo Diye

insha-allah-khan-insha

Gahe Gahe Jo Idhar Aap Karam Karte Hain

humaira-rahman

In Lafzon Mein Khud Ko dhundungi Main Bhi

Uski Dhun Mein Har Taraf Bhaga Kiya dauDa Kiya

Karb Hai Karb Ki Aawaz Barabar Hai Yahi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet