vo dekho uthi kaali kaali ghata
hai charon taraf chhane vaali ghata
ghata ke jo aane ki aahat hui
hava men bhi ik sansanahat hui
ghata aan kar menh jo barsa gai
to be-jan mitti men jaan aa gai
zamin sabze se lahlahane lagi
kisanon ki mehnat thikane lagi
jadi-butiyan ped aae nikal
ajab bel patte ajab phuul phal
har ik ped ka yak naya dhang hai
har ik phuul ka ik naya rang hai
ye do din men kya majra ho gaya
ki jangal ka jangal hara ho gaya
jahan kal tha maidan chatyal pada
vahan aaj hai ghaas ka ban pada
hazaron phudakne lage janvar
nikal aae goya ki mitti ke par
Leave a Reply