aalam tiri nigah se hai sarshar dekhna
meri taraf bhi tuk to bhala yaar dekhna
nadan se ek umr raha mujh ko rabt-e-ishq
daana se ab pada hai sarokar dekhna
gardish se teri chashm ke muddat se huun kharab
tis par kare hai mujh se ye iqrar dekhna
naseh abas kare hai mana mujh ko ishq se
aa jaae vo nazar to phir inkar dekhna
‘chanda’ ko tum se chashm ye hai ya ali ki ho
khak-e-najaf ko surma-e-absar dekhna
Leave a Reply