Mera Dayar Shanasa-E-Rang-O-Nur Nahin

mirā dayār shanāsā-e-rañg-o-nūr nahīñ

agarche shams-o-qamar is nagar se duur nahīñ

jamāl-o-paikar-o-andām kī ghaTā.eñ haiñ

kisī bhī dil pe tajallī-e-koh-e-tūr nahīñ

ḳhudā se ishq kī pahlī hasīñ nishānī hai

vo ik namāz ki jis meñ ḳhayāl-e-hūr nahīñ

hijāb-e-mahmil-e-lailā ko tū uThā na sakā

ki terī aañkh meñ dīdār kā shu.ūr nahīñ

nisāb-e-nāb-e-husainī mirī tamannā hai

ḳhitāb-e-vā.iz-o-darvesh meñ surūr nahīñ

kushā-e-rāz azā-e-husain kaise ho

tumhāre qalb meñ rāsiḳh mirā zabūr nahīñ

ġham-e-husain meñ rotā hai lā nahīñ kahtā

vo jis kā jism adū ke tabar se chuur nahīñ

charāġh ban ke añdherī rutoñ meñ jaltā huuñ

sivā.e is ke mirā aur kuchh qusūr nahīñ

tulū-e-nūr hai ‘naqqāsh’ sher-e-āgāhī

ai vā-e-baḳht isī sher ko zuhūr nahīñ

Leave a Comment