kyuun sa rahta hai kya sa rahta hai
dil jo khoya hua sa rahta hai
ek sanahaTe ka siine men
bhagna dauḌna sa rahta hai
main kahin aa.uun main kahin ja.un
vaqt jaise ruka sa rahta hai
sub.h ka dil kahin nahin lagta
shaam ka dam ghuTa sa rahta hai
dil ke aane ka dil ke jaane ka
ek dhaḌka laga sa rahta hai
ai ḳhalish bol kya yahi hai ḳhuda
ye jo dil men ḳhala sa rahta hai
kun hai darkar us ke hone ko
kaam vo jo zara sa rahta hai
Leave a Reply