• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Bhar Do Jholi Meri Ya Mohammad lauT Kar Main Na Jaunga Khaali

Bhar Do Jholi Meri Ya Mohammad lauT Kar Main Na Jaunga Khaali

bhar do jholi miri ya mohammad lauT kar main na ja.unga ḳhali

kuchh navason ka sadqa ata ho dar pe aaya huun ban kar savali

haq se paa.i vo shan-e-karimi marhaba donon aalam ke vaali

us ki qismat ka chamka sitara jis pe nazar-e-karam tum ne Daali

zindagi baḳhsh di bandagi ko aabru din-e-haq ki bacha li

vo mohammad ka pyara navasa jis ne sajde men gardan kaTa li

hashr men un ko dekhenge jis dam ummati ye kahenge ḳhushi se

aa rahe hain vo dekho mohammad jin ke kandhe pe kamli hai kaali

ashiq-e-mustafa ki azaan men allah allah kitna asar tha

arsh vaale bhi sunte the jis ko kya azaan thi azan-e-bilali

kaash ‘purnam’ dayar-e-nabi men jiite ji ho bulava kisi din

hal-e-gham mustafa ko suna.un thaam kar un ke rauze ki jaali

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Lau Mere Dil Ne Zara Us Se Lagai Hi Nahin

Har Taraf Shor Hai Mani Chaman-Arai Hai

Na Sahra Hai Na Ab Diwar-O-Dar Hai

poet

Firaq-O-Hijr Ke Lamhe Jo Tal Gae Hote

Sufi

Yaad Aa Jati Hai Jab Saqi Ke Aa Jaane Ki Tarah

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet