is haal men jiite ho to mar kyuun nahin jaate
yuun TuuT chuke ho to bikhar kyuun nahin jaate
kaise hain ye arman ye kavish ye tag-o-dau
manzil nahin ma.alum to ghar kyuun nahin jaate
ashkon ki tarah kyuun miri palkon pe ruke ho
ḳhanjar ki tarah dil men utar kyuun nahin jaate
maana ki ye sab zaḳhm-e-jigar tum ne diye hain
marham se kisi aur ke bhar kyuun nahin jaate
a.ina hai mahaul hai asbab hain tum ho
ḳhatir miri ik baar sanvar kyuun nahin jaate
be-ḳhud the kiya ghair se va.ada mujhe manzur
aaya hai agar hosh mukar kyuun nahin jaate
ai ‘taj’ ummidon ke ye mausam bhi ajab hain
har rut ki tarah ye bhi guzar kyuun nahin jaate
Leave a Reply