main aahen bhar nahin sakta ki naghme ga nahin sakta
sakun lekin mire dil ko mayassar aa nahin sakta
koi naghme to kya ab mujh se mera saaz bhi le le
jo gaana chahta huun aah vo main ga nahin sakta
mata-e-soz-o-saz-e-zindagi paimana o barbat
main khud ko in khilaunon se bhi ab bahla nahin sakta
vo badal sar pe chhae hain ki sar se hat nahin sakte
mila hai dard vo dil ko ki dil se ja nahin sakta
havas-kari hai jurm-e-khud-kushi meri shariat men
ye hadd-e-akhiri hai main yahan tak ja nahin sakta
na tufan rok sakte hain na andhi rok sakti hai
magar phir bhi main us qasr-e-hasin tak ja nahin sakta
vo mujh ko chahti hai aur mujh tak aa nahin sakti
main us ko pujta huun aur us ko pa nahin sakta
ye majburi si majburi ye lachari si lachari
ki us ke giit bhi dil khol kar main ga nahin sakta
zaban par be-khudi men naam us ka aa hi jaata hai
agar puchhe koi ye kaun hai batla nahin sakta
kahan tak qissa-e-alam-e-furqat mukhtasar ye hai
yahan vo aa nahin sakti vahan main ja nahin sakta
haden vo khinch rakkhi hain haram ke pasbanon ne
ki bin mujrim bane paigham bhi pahuncha nahin sakta
Leave a Reply