
Shaheen Abbas
dekhna hai kab zamin ko ḳhali kar jaata hai din
is qadar aata nahin hai jis qadar jaata hai din
muntashir chaliye ki yuun bazar bhar jaata to hai
mushtahar kiije ki phir achchha guzar jaata hai din
jab zara radd-o-badal hota hai is ta.amir men
bahar aa jaati hai raat andar utar jaata hai din
din ki apni mustaqil koi nahin tariḳh-e-dard
zaḳhm par jaata tha aur ab daagh par jaata hai din
achchhi gunja.ish nikal aati hai shaam aur shor ki
jab khanakte ḳhali insanon se bhar jaata hai din
jaate jaate chhoḌ jaata hai mire dil par lakir
do andheron men mujhe taqsim kar jaata hai din

Leave a Reply