itne chup kyuun ho majra kya hai
aaj ‘sha.ir’ tumhen hua kya hai
vaqi.a ye hai the isi qabil
ham jo rusva hue bura kya hai
hasil-e-ka.enat hai is men
mere saghar ko dekhta kya hai
dil ki baten suno nigahon se
ye na puchho ki mudda.a kya hai
teri ik ik ada ne luuT liya
be-vafa.i hai kya vafa kya hai
samne apne aa.ina rakh lo
ye na dekho mujhe hua kya hai
zarra zarra javab de dega
puchhiye to zara ḳhuda kya hai
ab to ‘sha.ir’ zamana hai dushman
rahzan kya hai rahnuma kya hai
Leave a Reply