kabhu na us rukh-e-raushan pe chhaiyan dekhin
ghataen chand pe sau baar chhaiyan dekhin
fatadgi men jo izzat hai sar-kashi men kahan
ki naqsh-e-pa ki yahan rah-numaiyan dekhin
balaen leve hai hathon se us ki zulfon ki
ye dast-e-shana ki ham ne rasaiyan dekhin
chaman men nakhun-e-har-barg-e-gul se bulbul ki
hazar rang se uqda-kushaiyan dekhin
zaban-e-tesha bahut kaam aai ai farhad
jo ishq ne tiri zor-azmaiyan dekhin
nazar men apni vo phirti hain suraten haihat
falak ne khaak men kya kya milaiyan dekhin
kisu ne li na khabar gharq-e-bahr-e-ulfat ki
in ashnaon ki ye ashnaiyan dekhin
hamari us ki kudurat ki vajh kuchh na rahi
ki aaine ne dilon ki safaiyan dekhin
ham apna tujh ko hava-khvah jante the saba
baharen tu ne bhi tanha udaiyan dekhin
bayan kis se karun apni tira-bakhti ka
andheri raten vo ai dil phir aiyan dekhin
‘nasir’ kiije vafa kab talak ba-qaul-e-‘mir’
jafaen dekh liyan bevafaiyan dekhin
Leave a Reply