dil jalane se kahan duur andhera hoga
raat ye vo hai ki mushkil se savera hoga
kyuun na ab vaz-e-junun tark karen lauT chalen
us se aage jo hai jangal vo ghanera hoga
ye zaruri to nahin itna bhi ḳhush-fahm na ban
vo zamana jo na mera hai na tera hoga
itna bhi sang-e-malamat se Dara mat naseh
sar salamat hai to is shahr ka phera hoga
ḳhidmat-e-raj-mahal par unhen dekha mamur
jo ye kahte the ki sardar basera hoga
rah-e-pur-pech ko sahl itna batane vaala
rahbar ho nahin sakta hai luTera hoga
vo bhi insan hai ai dil use ilzam na de
jaane us ko bhi kin afat ne ghera hoga
Leave a Reply