vo bevafa koi dam aur jo Thahar jaata
rah-e-talab men ye dil yuun na dar-ba-dar jaata
tiri gali men fasane bikherne ke liye
ye lazmi tha ki ham sa hi be-ḳhatar jaata
tujh ajnabi ka ho kya gham ki is andhere men
main apne-ap ko ḳhud dekhta to Dar jaata
tumhari bandish-e-adab se nazar jaagi
main be-ḳhabar to yunhi raah se guzar jaata
mujhi men ho na kisi aanch ki kami varna
koi suḳhan to tiri ruuh tak utar jaata
koi nigah to hoti sukun-shanas kabhi
koi nafas to kisi moḌ par Thahar jaata
vo bu-e-gul hai to ham mauja-e-saba ‘anjum’
vo ham se bach ke chala tha magar kidhar jaata
Leave a Reply