• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Phira Kisi Ka Ilahi Kisi Se Yar Na Ho

Phira Kisi Ka Ilahi Kisi Se Yar Na Ho

poet

phira kisi ka ilahi kisi se yaar na ho

koi jahan men bargashta-e-rozgar na ho

ham us ki chashm-e-siyah-mast ke hain mastane

ye vo nashe hain ki jis ka kabhi utaar na ho

jahan men koi kahta nahin khuda-lagti

vo kya kare jise dil par bhi ikhtiyar na ho

na phade daman-e-sahra ko kyuun ki dast-e-junun

raha jab apne gareban men ek taar na ho

na khel jaan par apni tu ai dil-e-nadan

khuda ko yaad kar itna tu be-qarar na ho

na bhuul zohd pe lazzat se bakhshish-e-haq ki

vo be-nasib hai jab tak gunahgar na ho

tumhare sar ki qasam kha ke dard dil ka kahun

jo mere likhne ka yuun tum ko e’tibar na ho

janab-e-shaikh ji sahib main ek arz karun

agar mizaj-e-muqaddas pe nagavar na ho

janab rindon se milte to hain pe dar hai mujhe

ki dushmanon ka kisi din vahan achar na ho

bahut hai khema-e-gardun ke phunkne ko to ‘aish’

is ah-e-tufta jigar men asar hazar na ho

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ahmad-nadeem-qasmi

Mujhe Talash Karo

bahadur-shah-zafar

Rukh Jo Zer-E-Sumbul-E-Pur-Pech-O-Tab Aa Jaega

aazim-kohli

Bahut Aziz Tha Aalam Wo dil-Figari Ka

poet

Ajab Ahwal Dekha Is Zamane Ke Amiron Ka

Aur Ab to Mere Chehre Se Ubhar Aata Hai Wo

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet