• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Meri Haalat Dekhiye Aur Unki Surat Dekhiye

Meri Haalat Dekhiye Aur Unki Surat Dekhiye

meri halat dekhiye aur un ki surat dekhiye

phir nigah-e-ghaur se qanun-e-qudrat dekhiye

sair-e-mahtab-o-kavakib se tabassum ta-bake

ro rahi hai vo kisi ki sham-e-turbat dekhiye

aap ik jalva sarasar main sarapa ik nazar

apni hajat dekhiye meri zarurat dekhiye

apne saman-e-ta.ayyush se agar fursat mile

bekason ka bhi kabhi tarz-e-ma.ishat dekhiye

muskura kar is tarah aaya na kiije samne

kis qadar kamzor huun main meri surat dekhiye

aap ko laaya huun viranon men ibrat ke liye

hazrat-e-dil dekhiye apni haqiqat dekhiye

sirf itne ke liye ankhen hamen baḳhshi ga.iin

dekhiye duniya ke manzar aur ba-ibrat dekhiye

maut bhi aa.i to chehre par tabassum hi raha

zabt par hai kis qadar ham ko bhi qudrat dekhiye

ye bhi koi baat hai har vaqt daulat ka ḳhayal

aadmi hain aap agar to admiyat dekhiye

phuuT niklega jabin se ek chashma husn ka

sub.h uTh kar ḳhanda-e-saman-e-qudrat dekhiye

rash.ha-e-shabnam bahar-e-gul farogh-e-mehr-o-mah

vaah kya ash.ar hain divan-e-fitrat dekhiye

is se baḌh kar aur ibrat ka sabaq mumkin nahin

jo nashat-e-zindagi the un ki turbat dekhiye

thi ḳhata un ki magar jab aa ga.e vo samne

jhuk ga.iin meri hi ankhen rasm-e-ulfat dekhiye

ḳhush-numa ya bad-numa ho dahr ki har chiiz men

‘josh’ ki taḳh.il kahti hai ki nudrat dekhiye

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ishq Mein Iztirab Rahta Hai

poet

Tum Ghair Se Milo Na Milo Main To Chhod dun

Hausle Ki Kami Se Darta Hun

ismail-merathi

Ikhfa Ke Liye Hai Is Qadar Josh-O-Kharosh

poet

Dard Bahta Hai Dariya Ke Sine Mein Pani Nahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet