dil gaya dil ka nishan baaqi raha
dil ki ja dard-e-nihan baaqi raha
kaun zer-e-asman baaqi raha
nek-namon ka nishan baaqi raha
ho liye duniya ke puure karobar
aur ik khvab-e-giran baaqi raha
rafta rafta chal base dil ke makin
ab faqat khali makan baaqi raha
chal diye sab chhod kar ahl-e-jahan
aur rahne ko jahan baaqi raha
karvan manzil pe pahuncha umr ka
ab ghubar-e-karvan baaqi raha
mil gae mitti men kya kya mah-jabin
sab ko kha kar asman baaqi raha
mit gae ban ban ke kya qasr o mahal
naam ko ik la-makan baaqi raha
aarzu hi aarzu men mit gae
aur shauq-e-astan baaqi raha
aish o ishrat chal base dil se ‘zahir’
dard o gham bahr-e-nishan baaqi raha
Leave a Reply