pata nahin vo kaun tha
jo mere haath
mugre ki daal pankh mor ka thama ke chal diya
pata nahin vo kaun tha
hava ke jhonke ki tarah jo aaya aur guzar gaya
nazar ko rang dil ko nikhaton ke dukh se bhar gaya
main kaun huun
guzarne vaala kaun tha
ye phuul pankh kya hain kyuun mile
ye sochte hi sochte tamam rang ek rang men utarte gae
……siyah rang
tamam nikhaten idhar udhar bikhar gaiin
………khalaon men
yaqin hai…… nahin nahin guman hai
vo koi mera dushman-e-qadim tha
dikha ke jo sarab meri pyaas aur badha gaya
main be-hisab arzuon ka shikar
intiha-e-shauq men fareb us ka kha gaya
guman… nahin nahin yaqin hai
vo koi mera dost tha
jo do ghadi ke vaste hi kyuun na ho
nazar ko rang dil ko nikhaton se bhar gaya
pata nahin kidhar gaya
main is ko dhundhta hua
tamam kaenat men
udhar udhar bikhar gaya
Leave a Reply