hijr hai yaas hai vahshat ka saman hai main huun
umr Thahre hue mausam men ravan hai main huun
mere daman men jo ganjina-e-gul hai tu hai
tere daman men jo ik barg-e-ḳhizan hai main huun
az-zamin ta-ba-falak raat ka sannaTa hai
aise aalam men jo ye shor-e-fughan hai main huun
dekh hijran men ḳhayalat-e-pareshan ka fusun
ja baja aks tira raqs-kunan hai main huun
taq-e-har-sham pe jalti hui ummid hai to
ye jo bujhti hui hasrat ka dhuan hai main huun
chashm-e-sad-naz hai paikan-e-sitam hai tu hai
aur ek zaḳhm-e-jigar jan-satan hai main huun
barf jazbat ki pighli hai miri hiddat se
andarun tere jo ik shoa.la-fishan hai main huun
Leave a Reply