• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ab Wo Gali Ja-E-Khatar Ho Gai

Ab Wo Gali Ja-E-Khatar Ho Gai

poet

ab vo gali ja-e-khatar ho gai

haal se logon ko khabar ho gai

vasl ki shab kya kahun kyuun kar kati

baat na ki thi ki sahar ho gai

dekhenge ai zabt ye daave tire

raat judai ki agar ho gai

hazrat-e-naseh ne kahi baat jo

ham-asar-e-dard-e-jigar ho gai

main na hua ghair hue mustafiz

teri nazar thi vo jidhar ho gai

yaad kisi ki mujhe phir in dinon

josh-zan-e-dida-e-tar ho gai

kis ki ham-aghoshi ka tha azm jo

zulf tiri tauq-e-kamar ho gai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHushk Aaankhon Se Kahan Tai Ye Masafat Hogi

Rahta Hai Itna Paon Ke Til Ka Asar Sawar

Abhi to Yahi Dekhna Chahta Hun

Pesh-E-Zamin Rahun Ki Pas-E-Asman Rahun

Duniya Ko Dars-E-Mahr-O-Wafa De Rahe Hain Hum

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet