kab mausam-e-bahar pukara nahin kiya
ham ne tire baghair gavara nahin kiya
duniya to ham se haath milane ko aai thi
ham ne hi eatibar dobara nahin kiya
mil jaae khaak men na kahin is khayal se
ankhon ne koi ishq sitara nahin kiya
ik umr ke azaab ka hasil vahin bahisht
do chaar din jahan pe guzara nahin kiya
ai asman kis liye is darja barhami
ham ne to tiri samt ishara nahin kiya
ab hans ke tere naaz uthaen to kis liye
tu ne bhi to lihaz hamara nahin kiya
Leave a Reply