Mohabbat Ab Nahin Hogi

sitare jo damakte hain

kisi ki chashm-e-hairan men

mulaqaten jo hoti hain

jamal-e-abr-o-baran men

ye na-abad vaqton men

dil-e-nashad men hogi

mohabbat ab nahin hogi

ye kuchh din baad men hogi

guzar jaenge jab ye din

ye un ki yaad men hogi

Leave a Comment