hamari kaif saza-var-e-ehtisab nahin
khayal-e-chashm hai kuchh saghar-e-sharab nahin
vo be-naqab hua hai to ye tamasha hai
do-char hone ki ankhon men apni taab nahin
ye mujh ko us ke taghaful se hai yaqin ki haae
javab-name so ai naame ka javab nahin
sama raha hai yahan tak pari-rukhon ka jamal
hamari ankhon men khali maqam-e-khvab nahin
buton ke parde men ham dekhte hain nur-e-khuda
khuda ke dekhne ki ai kalim taab nahin
vufur-e-ashk se kyon hai gale talak paani
hamara kasa-e-sar kasa-e-habab nahin
main bazm-e-shahid-o-saqi men kyon na vajd karun
bara-e-zohd-o-varaa alam-e-shabab nahin
kiya hai daagh ne kyon us ko manzil-e-khurshid
hamara dil hai ye kuchh burj-e-aftab nahin
hua hai man-e-didar-e-yar parda-e-chashm
khuli jo aankh to kuchh darmiyan hijab nahin
ye zabt-e-girya men aalam hai be-qarari ka
ki barq kaundti hai barish-e-sahab nahin
bashar ke jism men hai jaan maya-e-ghaflat
so ai dida-e-tasvir kis ko khvab nahin
dila hai mausam-e-piri mahal jam-e-sharab
baghair subh koi vaqt-e-aftab nahin
main ghash se us ke chhidakte hi hoshiyar hua
kisi sanam ka pasina hai ye gulab nahin
bahut fareb se ham vahshiyon ko vahshat hai
hamare dasht men ‘nasikh’ kahin sarab nahin
Leave a Reply