rasta koi dekhta hoga
koi aage nikal gaya hoga
raat pahlu men so ga.i mere
raat ko chain aa gaya hoga
miri ankhon men ashk aane lage
kya mujhe ishq ab ata hoga
jis ko maazi sukun deta hai
kis tarah mujh ko bhulta hoga
ḳhubsurat hain is liye patthar
koi in men ḳhuda raha hoga
zindagi talḳh to nahin lekin
vaqi.a koi ho gaya hoga
naam bhi mera is ko yaad nahin
aur kaise koi juda hoga
dekho ‘dilshad’ gham nahin karte
kabhi vo bhi to mubtala hoga
Leave a Reply