sochte aur jagte sanson ka ik dariya huun main
apne gum-gashta kinaron ke liye bahta huun main
besh-qimat huun miri qimat laga sakta hai kaun
tere kuche men bikun to phir bahut sasta huun main
ḳhvab jo dekhe the main ne vo bhi ab dhundla ga.e
ab to tum aa jaao sahab ab bahut tanha huun main
jal gaya saara badan in mausamon ki aag men
ek mausam ruuh hai jis men ki ab zinda huun main
mere honTon ka tabassum de gaya dhoka tujhe
tu ne mujh ko baagh jaana dekh le sahra huun main
main to yaaro aap apni jaan ka dushman hua
zahr ban ke aap apni ruuh men utra huun main
dekhne meri pazira.i ko ab aata hai kaun
lamha bhar ko vaqt ki dahliz par aaya huun main
tu ne be-dekhe guzar kar mujh ko patthar kar diya
tu palaT kar dekh le to aaj bhi hiira huun main
lafz gunge hain inhen goya.i dene ke liye
zindagi ke sachche lamhon men ghazal kahta huun main
Leave a Reply