kab talak muddaa kahe koi
na suno tum to kya kahe koi
ghairat-e-ishq ko qubul nahin
ki tujhe bevafa kahe koi
minnat-e-na-khuda nahin manzur
chahe us ko khuda kahe koi
har koi apne gham men hai masruf
kis ko dard-ashna kahe koi
kaun achchha hai is zamane men
kyuun kisi ko bura kahe koi
koi to haq-shanas ho yarab
zulm ko na-ravan kahe koi
vo na samjhenge in kinayon ko
jo kahe barmala kahe koi
aarzu hai ki mera qissa-e-shauq
aaj mere siva kahe koi
ji men aata hai kuchh kahun ‘nasir’
kya khabar sun ke kya kahe koi
Leave a Reply