miri nava miri tadbir tak nahin pahunchi
ye mere ḳhvab ki ta.abir tak nahin pahunchi
tire jamal ka partav aziiz hai lekin
tiri ada tiri tasvir tak nahin pahunchi
yahi bahut hai ki ham manzilon se ho aa.e
hamari kaj-ravi taḳhir tak nahin pahunchi
kaman se kaisi shikayat ki vo hai na-bina
hadaf ki be-nigahi tiir tak nahin pahunchi
hamare dil se uThi hausla-shikan avaz
magar ye paanv ki zanjir tak nahin pahunchi
sisak rahi hai jo dahliz-ḳhana men dimak
hazar shukr ki shahtir tak nahin pahunchi
hava men uThte rahe haath be-sabab ‘mohsin’
chamak duaon ki tasir tak nahin pahunchi
Leave a Reply