• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Bedil Ka taKHayyul Hun Na Ghaalib Ki Nawa Hun

Bedil Ka taKHayyul Hun Na Ghaalib Ki Nawa Hun

‘bedil’ ka taḳhayyul huun na ghalib ki nava huun

is qafila-e-rafta ka naqsh-e-kaf-e-pa huun

raqsan hai charaghan-e-tamanna mire harsu

vo raushaniyan hain ki main saa.e se juda huun

jab dasht-e-alam se koi jhonka kabhi aaya

main lala-e-ḳhud-rav ki tarah aur khila huun

zulmat-aman bhi huun ujalon ka amiin bhi

main sub.h ke taare ki tarah Duub raha huun

aflak-rasi se bhi talafi nahin hoti

kis azm ki an-dekhi chaTanon se gira huun

har aks-e-muqabil se numayan hai mira naqsh

duniya men huun ya a.ina-ḳhane men khaḌa huun

mahdud hai kyuun hadd-e-talab tak miri parvaz

main mauj-e-saba ho ke bhi zanjir-ba-pa huun

idrak ke sho.alon ka chaman hai mira ahang

main barg-e-ḳhizan ho ke bhi gulzar-numa huun

ehsas ke ghunchon ki chaTak hai miri avaz

main sina-e-afaq men dhaḌkan ki sada huun

har chand ki nas nas men nihan barq-e-tapan hai

khul kar bhi barasta huun ki ghanghor ghaTa huun

ek ek kiran men tire sau rang nazar aa.e

jab pichhle pahar chand ke hamrah chala huun

ik naghma-e-rangin huun lab-e-saz-e-mizha par

‘sadiq’ jaras-e-ghuncha huun tasvir-e-sada huun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

aatif-waheed-yasir

Aankhon Ko Naqsh-e-Pa Tera dil Ko Ghubar Kar diya

Ghaeb Har Manzar Mera

Chaman Se Gul Se Wo Rishta Purana DhunDte Rahna

Sochna Hai to Phir Khari Soche

Diyon Se Aag Jo Lagti Rahi Makanon Ko

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet