bujhe bujhe hue dagh-e-jigar ki baat na kar
bhaḌak uThega ye sho.ala sahar ki baat na kar
bas ek baar mohabbat se dekhne vaale
ye vo karam hai ki bar-e-digar ki baat na kar
taras na jaa.en kahin rang-o-bu ko ahl-e-chaman
gulon ko dekh ke zaḳhm-e-jigar ki baat na kar
mata-e-dard baḌha aur muskura.e ja
shab-e-firaq numud-e-sahar ki baat na kar
naya nahin hai ye hangama ahl-e-dil ke liye
sukut-e-a.ina-e-ḳhud-naigar ki baat na kar
kahan kahan se guzarna hai be-niyazana
nazar se dekh shu.ur-e-nazar ki baat na kar
ye phuul hain mire ‘nashtar’ jigar ke daagh nahin
fareb-ḳhurda-e-shabnam guhar ki baat na kar
Leave a Reply