kya karen gulshan pe joban zer-e-dam aaya to kya
kya tavaqqo inqalab-e-nau nizam aaya to kya
ab ye tasir-e-mohabbat par qasida kya zarur
jazba-e-be-tabi-e-dil tha jo kaam aaya to kya
aankh se dil ki taraf dauḌe vo mai piite hain ham
ham vo mai-kash hain ki saaqi le ke jaam aaya to kya
zo.af apna toḌne deta hai zanjiren kahin
ham men dam kya hai jo vaqt-e-intiqam aaya to kya
main samajhta huun use aghaz-e-mustaqbil-faza
aap kahte hain koi bala-e-bam aaya to kya
ab vo iz.har-e-haqiqat ke liye Darte nahin
ab vo kahte hain ḳhat us ka mere naam aaya to kya
hai to na-ehsan-shanasi ‘shad’ lekin kya karun
kaam ban sakta tha yuun bhi koi kaam aaya to kya
Leave a Reply