shiddat-e-dard men ehsas ka kirdar miyan
apne hone men kahan ḳhud ka hai iz.har miyan
ham bhi kho Daal rahe hain ki badal jaa.en zara
aql-e-bebas ki sune dil nahin tayyar miyan
DhunD kuchh log muqabil huun jahan main tere
shar-e-naqis men kahan ham se hain gham-ḳhvar miyan
gunguna bazm-e-jahan shahd shakar shahd shakar
baat rakhte hain labon par ki hain auzar miyan
jhuuT ko jhuuT kahun sach ko kahun sach lekin
aa ulajhti hai mire sar koi talvar miyan
aankh kholun to nazar aa.en andhere kyuun kar
sab ujale hain miri niind ke bimar miyan
Leave a Reply