aghaz-e-ashiqi ka allah re zamana
har baat bahki bahki har gaam valihana
vo sajda-ha-e-paiham vo un ka astana
ai kaash lauT aa.e guzra hua zamana
kaunain ki tavajjoh us be-ruḳhi pe sadqe
honTon pe hai tabassum tevar muḳhalifana
mujh ko na thi gavara apni shikast lekin
kya kahiye us nazar ka andaz-e-fatehana
sau baar dekh kar bhi yuun muztarib hain nazren
jaise guzar gaya ho dekhe hue zamana
mahsus ho chali hain tanha.iyan unhen bhi
rakkhe ḳhuda salamat pindar-e-ashiqana
kya iḳhtiyar apna majburiyon pe dil ki
maana ki mashvara hai naseh ka muḳhlisana
phir chand aur sitare phaila rahe hain zulmat
ek teri yaad se tha raushan siyah-ḳhana
rabt-e-nigah-o-dil ko muddat hui hai ‘arshi’
un ka mira ta.aruf ab tak hai gha.ebana
Leave a Reply