samne apne tu bula ke to dekh
hausla mera aazma ke to dekh
mah-e-kamil bhi maand paḌ jaa.e
apna chehra use dikha ke to dekh
aaj qaus-e-quzah ka lutf kahan
apne aariz pe rang haya ke to dekh
main tiri aḳhiri zarurat huun
tu kabhi mujh se duur ja ke to dekh
jan-ba-lab huun qarar aa jaa.e
apni palken zara uTha ke to dekh
hain duaon se mo.ajize mumkin
tu ḳhuda ko kabhi mana ke to dekh
Leave a Reply