jo baiTho sochne har zaḳhm-e-dil kasakta hai
ghazal kaho to qalam se lahu Tapakta hai
main ab bhi rota huun mahrumiyon pe bachpan ki
khilaune dekh ke dil aaj bhi humakta hai
faza men ḳhauf-e-hava bolne nahin deta
zamin pe aa ke parinda bahut chahakta hai
tumhara lahja to dariya hai bahte paani ka
ye aag ban ke samundar men kyuun bhaḌakta hai
dil-o-dimagh ke sab taar bajne lagte hain
naqab chehra-e-fitrat se jab sarakta hai
amir-e-shahr banaya gaya hai jis din se
hamare ghaav sitamgar bahut namakta hai
chamakne lagte hain ‘anjum’ tumhari yadon ke
vo asman pe jab raushni chhiḌakta hai
Leave a Reply