ishq men kya hathon se kisi ke daman-e-hasti chhuT gaya
sham.a koi ḳhamosh hui ya koi sitara TuuT gaya
khel rahi hai barq-e-tabassum phuul se nazuk honTon par
janiye kis ki maut aa.i hai kis ka muqaddar phuuT gaya
kaun tha ye bimar-e-mohabbat jis ki balin par aa kar
husn bhi dariya dariya roya ishq bhi siina kuuT gaya
teri bhi tasvir thi us men is ka mujh ko rona hai
varna dil ki hasti kya hai shisha tha so TuuT gaya
sail-e-mohabbat ke tha muqabil dil ka habab-e-nazuk bhi
lekin ye ab yaad nahin hai kab ubhra kab phuuT gaya
ishq ne kaisi aafat Dhaa.i sab maiḳhane ḳhali hain
kaun-o-makan ki saari masti un ankhon men kuuT gaya
ah-e-mohabbat ka rishta tha nazuk se bhi nazuk-tar
ab is ko kis tarah se joḌen TuuT gaya so TuuT gaya
avval avval zauq-e-mohabbat tha masti-e-be-payan
aḳhir aḳhir vaqt vo aaya sahr-e-mohabbat TuuT gaya
naaz miri sarmasti ko kya kya tha sharab-o-saqi par
us ki ankhon ko jo dekha haath se saghar chhuT gaya
raat kisi ki bazm men go bedar tha main hushyar tha main
lekin koi aankh bacha kar dil ki basti luuT gaya
Leave a Reply