aarzu rakhna mohabbat men baḌa mazmum hai
sun ki tark-e-arzu hi ishq ka mafhum hai
un nigahon ke tasadum se jo chingari uThe
ishq us ka naam hai ye ishq ka mafhum hai
ab to ye arman hai arman hi paida na hon
go samajhta huun ki ye ummid bhi mauhum hai
vo khaḌe hain vo tasavvur ab tujhe main kya kahun
aankh mahv-e-did kar diid se mahrum hai
ishq phir mahrumiyan nakamiyan barbadiyan
meri qismat men jo likkha hai mujhe ma.alum hai
main tujhi ko dekhta huun jalva-farma har taraf
ma-siva tere mire nazdik sab ma.adum hai
zindagi ko maut hai jab zindagi ḳhud ho fareb
maut bhi goya fareb-e-hasti-e-mauhum hai
ishq men ‘talib’ mata-e-hosh kho kar ḳhush to ho
us ka jo anjam hai vo bhi tumhen ma.alum hai
Leave a Reply