aql-o-danish men kisi se nahin kamtar ham log
vaqt vaqif hai ki hain kitne qad-avar ham log
kaise Dar ja.enge dhamki se tiri ai nadan
kya tu vaqif nahin hain kitne dilavar ham log
ham musalman hain aur paḌhte hain haq ka kalima
saari duniya ke taqabul men hain bartar ham log
garche muflis hain magar daulat-e-din rakhte hain
dekh kar ham ko na samjhen ki hain kamtar ham log
samne lashkar-e-batil tha hazaron ka magar
DaT ga.e haq ke liye bas the bahattar ham log
mashvara baunon ko ye hai ki sada had men rahen
aur bhulen na ki hain kitne qad-avar ham log
sazishen ham ko Dubone ki rachata hai adu
ai ‘zaki’ kah do ki hain ḳhuub shanavar ham log
Leave a Reply