khule jo aankh kabhi didani ye manzar hain
samundaron ke kinaron pe ret ke ghar hain
na koi khidki na darvaza vapsi ke liye
makan-e-khvab men jaane ke saikdon dar hain
gulab tahni se tuuta zamin par na gira
karishme tez hava ke samajh se bahar hain
koi bada hai na chhota sarab sab ka hai
sabhi hain pyaas ke maare sabhi barabar hain
husain-ibn-e-ali karbala ko jaate hain
magar ye log abhi tak gharon ke andar hain
Leave a Reply