• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Khun Rulati Hai Teri Hasrat-E-didar Mujhe

Khun Rulati Hai Teri Hasrat-E-didar Mujhe

poet

khuun rulati hai tiri hasrat-e-didar mujhe

teri furqat ne kiya jaan se bezar mujhe

diin ke qabil na raha aur na raha duniya ka

tujh se khud kaam ne aisa kiya be-kar mujhe

ruuh kahti hai ki sau jaan se main sadqe huun

dil ke parde men nazar aaya hai jab yaar mujhe

jis ki chitvan ka tu ghayal hai main us ka zakhmi

dekhti kya hai tu ai nargis-e-bimar mujhe

umr akhir hui afsos badi ghaflat se

dam-e-murdan hi kiya maut ne hoshiyar mujhe

apne hathon se phansa huun main khud hi aafat men

hirs-e-duniya ne kiya banda-e-afkar mujhe

shaikh-ji jaiye masjid men nahin jaata main

but-e-kafir ne kiya sahib-e-zunnar mujhe

ik jhalak duur se dikhla ke ye chhina kaisa

samne aa ke dikha jalva-e-rukhsar mujhe

rakh ke tasvir-e-sanam dil men abas kahte ho

shaikh huun main but-e-kafir se sarokar mujhe

zabt-e-girya mujhe lazim hai ki aghyar men yaan

bazm men khaar na kar chashm-e-guhar-bar mujhe

baith kar kucha-e-shah men ye ‘jamila’ ne kaha

ghaus kaafi hai tira saya-e-divar mujhe

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ada-jafarey

Kanta Sa Jo Chubha Tha Wo Lau de Gaya Hai Kya

Libas-E-Faqr Mein Hum Ko Jo KHaksar Mile

Dub Kar KHud Mein Kabhi Yun Be-Karan Ho Jaunga

firaq-gorakhpuri

Aa Ja Ki Khadi Hai Sham Parda Ghere

Ishq Mein Koi Hamsari Karta

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet